kisi ko apne amal ka hisab kya dete
saval saare ghalat the javab kya dete
ḳharab sadiyon ki be-ḳhvabiyan thiin ankhon men
ab in be-ant ḳhalaon men ḳhvab kya dete
hava ki tarah musafir the dilbaron ke dil
unhen bas ek hi ghar ka azaab kya dete
sharab dil ki talab thi shara ke pahre men
ham itni tangi men us ko sharab kya dete
‘munir’ dasht shurua se sarab-asa tha
is aa.ine ko tamanna ki aab kya dete
Leave a Reply