is dil ki imarat men tum jalva dikha jaana
ya nur-e-mubin ban kar ankhon men sama jaana
apna to shikasta-dil ik khana-e-viran hai
qadmon se ise apne abad bana jaana
ushshaq ke marqad par hasrat yahi kahti hai
tum fitna-e-mahshar ho soton ko jaga jaana
un khak-nashinon se milna tumhen lazim hai
ushshaq ke kuche men bhule se tu aa jaana
muddat se piyasa main baitha huun tire dar par
ik jaam mohabbat ka khud aa ke pila jaana
is gardish-e-qismat ne sar-gashta kiya yaan bhi
ai khizr-e-rah-e-ulfat tum raah bata jaana
aae na sar-e-balin gar mere dam-e-murdan
ab bahr-e-dua dilbar marqad pe to aa jaana
kya kya na jafa mujh pe hoti hai shab-e-furqat
ulfat ne tiri mujh ko paband-e-vafa jaana
ye ishq ‘jamila’ ka ai khizr-e-rah-e-ulfat
mahbub ke jalve ko asrar-e-khuda jaana
Leave a Reply