aa gaya phir ramazan kya hoga
haa.e ai pir-e-mughan kya hoga
bagh-e-jannat men saman kya hoga
tu nahin jab to vahan kya hoga
ḳhush vo hota hai mire nalon se
aur andaz-e-fughan kya hoga
duur ki raah hai saman hain baḌe
itni mohlat hai kahan kya hoga
dekh lo rang-e-paridan ko mire
dil jalega to dhuan kya hoga
hoga bas ek nigah men jo tamam
vo ba-hasrat nigaran kya hoga
ham ne maana ki mila mulk-e-jahan
na rahe ham to jahan kya hoga
mar ke jab ḳhaak men milna Thahra
phir ye turbat ka nishan kya hoga
jis tarah dil hua TukḌe az-ḳhud
chaak is tarah katan kya hoga
ya tira zikr hai ya naam tira
aur phir vird-e-zaban kya hoga
ishq se baaz na aana ‘haidar’
raaz hone de ayaan kya hoga
Leave a Reply