raat us tunuk-mizaj se kuchh baat badh gai
vo ruuth kar gaya to ghazab raat badh gai
ye kahiyo ham-nashin mujhe kya kya na kah gae
main ghat gaya na aap ki kuchh zaat badh gai
bose ke naam hi pe lage katne zaban
kitni amal se aage mukafat badh gai
chashmon se mere shahr men tufan-e-girya hai
nadan jante hain ki barsat badh gai
samjha tha main kamar hi talak zulf ka kamal
vo paanv se bhi aage kai haat badh gai
aghyar se nahin hai sarokar yaar ko
mere ba-raghm un pe inayat badh gai
be-tauriyon se us ki ‘bayan’ main to khinch raha
ghairon ki us ke saath mulaqat badh gai
Leave a Reply