ik pari ka phir mujhe shaida kiya
ishq ne phir mufsida barpa kiya
aaj phir us shoḳh ne fuqara kiya
va.ada-e-imroz bhi farda kiya
ḳhun-e-nahaq ik musalman ka kiya
kya ghazab o shoḳh-e-be-parva kiya
dil ko maa.il sho.ala-ruon ka kiya
din-e-zardashti ko phir ahya kiya
abr akasr us baras barsa kiya
kya tatabbo dida-e-tar ka kiya
kyuun ajal kya tujh ko bhi maut aa ga.i
is qadar aane men kyuun arsa kiya
kaan ki bijli jo yaad aa.i tiri
barq ke manind main taḌpa kiya
vo kaf-e-pa-e-hina.i kar ke yaad
hijr ki shab eḌiyan ragḌa kiya
us ko bhi sakta hua dekh a.ina
der tak hairat se munh dekha kiya
ḳhaak chhani muddaton tinke chune
kya kahun is ishq men kya kya kiya
kal na paoge hamen kahiyo safir
aaj aane men agar hiila kiya
vaan hue missi se lab un ke kabud
piiT kar munh ham ne yaan niila kiya
tab uThe hain un buton ke ham se naaz
jab kaleja apna patthar ka kiya
hai girah mu-e-kamar ki naf-e-yar
fikr ne apne ye uqda va kiya
laag paida kar ke ab jallad se
jaan khoi haa.e dil ne kya kiya
danḌ pe bandha ham ne joshan ki tarah
harz-e-jan qatil tira chhalla kiya
mujh ko majnun kar diya manind-e-qais
sehr kuchh aur ghairat-e-laila kiya
ma.arke men ishq ke sarka na paanv
aabru ko jaan ko sadqa kiya
soz-e-furqat ne shararat mujh se ki
haizam-e-tar ki tarah sulga kiya
ai shab-e-furqat na kar mujh par azaab
main ne tera munh nahin kaala kiya
zulf-e-janan jis ne dekhi ek baar
dil se apne umr bhar uljha kiya
is musibat se shab-e-furqat kaTi
paanv piiTe aah ki naala kiya
ishq afshan-e-jabin-e-yar men
ḳhaak chhalni ki tarah chhana kiya
tha munasib tark-e-ishq-e-yar ‘rind’
aap ne ansab kiya aula kiya
Leave a Reply