tumhari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain
jo mujh se farz chhuTe un ke kaffare nikalte hain
duaon ka asar maan ke labon se phuuT paḌta hai
main jab be-chara hota huun ka.i chare nikalte hain
kabhi be-hurmati masjid ki aur apman mandir ka
amir-e-shahr ke ghar se ka.i dhare nikalte hain
kahan ka ilm kaisi degrēyan ye haal hai ki ab
jahan suraj talasho ghor andhiyare nikalte hain
yahi gar faisla hai aap ka to ye bhi sun liije
hamare saath yadon ke ka.i dhare nikalte hain
Leave a Reply