ek sannata sa taqrir men rakkha gaya tha
khvab hi khvab ki taabir men rakha gaya tha
agahi rose darati rahi manzil se magar
hausla paanv ki zanjir men rakkha gaya tha
kaun bismil tha bata hi nahin sakta koi
zakhm-e-dil sina-e-shamshir men rakkha gaya tha
saz-o-avaz ke milne se asar hone laga
tera lahja miri tahrir men rakkha gaya tha
daman-e-husn-e-talab zakhm ki daulat ke siva
dard bhi ishq ki jagir men rakkha gaya tha
ek manzar men khala pur kiya tanhai ne
mera chehra vahin tasvir men rakkha gaya tha
khud-parasti se bachata raha ham-zad mira
aaina nuskha-e-iksir men rakkha gaya tha
zindagi maut ke pahlu men numu paati rahi
ik kharaba yahan taamir men rakkha gaya tha
Leave a Reply