jo tasavvur men hai us ko koi kya raushan kare
aks-e-gum-gashta ko kaise a.ina raushan kare
ham giran-goshon men harf-e-mo’tabar kahne ko hain
dekhiye kis ki sama.at ye sada raushan kare
Duub jaa.e jab kabhi tarikiyon men raushni
ik diya siine men phir us ki nava raushan kare
muntazir hain sab hava ke chand chehre aur charag
dekhiye ye kya bujha de aur kya raushan kare
asman ko chumte shahron men fursat hai kise
is khanDar men kaun ye bujhta diya raushan kare
dhire dhire bujh ga.i jitni dilon men aag thi
ab yahan kya hai jise dast-e-dua raushan kare
raat ke jangal men main huun aur tiri mub.ham si yaad
ik diya hai ye kahan tak rasta raushan kare
Leave a Reply