dil de raha tha jo use be-dil bana diya
asan kaam aap ne mushkil bana diya
har saans ek sho.ala hai har sho.ala ek barq
kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil bana diya
is husn-e-zan pe ham-safaron ke huun pa-ba-gil
mujh be-ḳhabar ko rahbar-e-manzil bana diya
andha hai shauq phir nazar imkan par ho kyuun
kaam apna dil ne aap hi mushkil bana diya
dauḌa lahu ragon men bandhi zindagi ki aas
ye bhi bura nahin hai jo bismil bana diya
gharq o ubuur donon ka hasil hai ḳhatm-e-kar
majburiyon ne mauj ko sahil bana diya
us shan-e-ajizi ke fida jis ne ‘arzu’
har naaz har ghurur ke qabil bana diya
Leave a Reply