bana hai apne aalam men vo kuchh aalam javani ka
ki umr-e-khizr se behtar hai ek ik dam javani ka
nahin budhon ki dadhi par miyan ye rang vasme ka
kiya hai un ke ek ek baal ne matam javani ka
ye budhe go ki apne munh se shaikhi men nahin kahte
bhara hai aah par in sab ke dil men gham javani ka
ye piran-e-jahan is vaste rote hain ab har dam
ki kya kya in ka hangama hua barham javani ka
kisi ki piith kubdi ko bhala khatir men kya laave
akad men naujavani ke jo maare dam javani ka
sharab o gul-badan saaqi maze aish-o-tarab har-dam
bahar-e-zindagi kahiye to hai mausam javani ka
‘nazir’ ab ham udate hain maze kya kya aha-ha-ha
banaya hai ajab allah ne aalam javani ka
Leave a Reply