zamane kei tarah hamdam na hona
ḳhataon par meri barham na hona
masa.il duriyan hargiz nahin thiin
masa.il duriyon ka come na hona
yahi to raat hone ka sabab hai
zamin ka shams ka baham na hona
chale aao mohabbat ka hai mausam
dobara ye hasin mausam na hona
ajab basti tumhare dil kei basti
kisi gham ka jahan matam na hona
mire dil kei yahi taklif Thahri
bichhaḌte vaqt ankhen nam na hona
ishara hai ye sham-e-zindagi ka
mire dil men tumhara gham na hona
Leave a Reply