• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dikha Rahi Hai Jahan Dhup Ab Asar Apna

Dikha Rahi Hai Jahan Dhup Ab Asar Apna

dikha rahi hai jahan dhuup ab asar apna

bikherta tha vahin saaya ik shajar apna

phalon ka ab ke bhi pahle se ho gaya sauda

daraḳht chhu na sakenge koi samar apna

bahut hi tez tha ḳhanjar hava ke hathon men

bacha saka koi taa.ir na bal-o-par apna

kabhi jo samne aaya to chhup gaya huun kabhi

ye ek khel raha ḳhud se umr-bhar apna

abhi to baaqi hain manzil ki Thokaren kuchh aur

yahin pe ḳhatm nahin hai abhi safar apna

ye kaun sham.a liye pesh pesh chalta raha

dikha.i bhi na diya kaun tha ḳhizar apna

nizam-e-jabr ki vo kar raha hai phir tausi.a

baḌha raha hai vo phir halqa-e-asar apna

koi nahin hai jo shamshir chhin le us se

chhupa.e phirta hai har ek shaḳhs sar apna

kisi pe khulta bhi kya apna karb-e-gham ‘mohsin’

na koi marsiyan-ḳhvan tha na nauhagar apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-ansari

Chir Kar Sine Ko Rakh de Gar Na Pae Gham-Gusar

adil-mansuri

Wo Tum Tak Kaise Aata

abdul-hamid-adam

Zulmaton Ko Sharab-Khane Se

noshi-gilani

Har Jaanib Virani Bhi Ho Sakti Hai

Abhi Hai Mausam Ghamon Ka Lekin Main Muskuraun to Harj Kya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet