mudava-e-dil-e-divana karte
ye karte ham to kuchh achchha na karte
vafa sadiq agar hoti hamari
vo karte bhi to jaur itna na karte
ham achchha tha jo bahr-e-parda-poshi
mohabbat ka tiri charcha na karte
tumhari fitna-pardazi ka shikva
jo ham karte to kuchh beja na karte
nigahen ashiqon ki thi havas-kar
vo kya karte agar parda na karte
jo phir milne ki hoti kuchh bhi ummid
to ham us ke liye kya kya na karte
talab ka hausla hota to ik din
khitab us but se bebakana na karte
hamara paas unhen kuchh bhi jo hota
kisi ki aur ham parva na karte
shakebai ka dam rakhte to ‘hasrat’
unhen yuun shauq se dekha na karte
Leave a Reply