aram ke the sathi kya kya jab vaqt paḌa to koi nahin
sab dost hain apne matlab ke duniya men kisi ka koi nahin
gul-gasht men daman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum ko
us aankh se parda karte ho jis aankh men parda koi nahin
jo baagh tha kal phulon se bhara aTkheliyon se chalti thi saba
ab sumbul o gul ka zikr to kya ḳhaak uḌti hai us ja koi nahin
kal jin ko andhere se tha hazar rahta tha charaghan pesh-e-nazar
ik sham.a jala de turbat par juz daagh ab itna koi nahin
jab band huiin ankhen to khula do roz ka tha saara jhagḌa
taḳht us ka na ab hai taaj us ka askandar o daara koi nahin
qattal-e-jahan mashuq jo the suune paḌe hain marqad un ke
ya marne vaale lakhon the ya rone vaala koi nahin
ai ‘arzu’ ab tak itna pata chalta hai tiri barbadi ka
jis se na bagule hon paida is tarah ka sahra koi nahin
Leave a Reply