sard rahon men bhaTakti hui shamon ki tarah
main tire saath chali aa.i huun raston ki tarah
bas yahi dekh ke tajdid-e-mohabbat kar li
ro paḌa tha vo mire samne bachchon ki tarah
ghar udasi ne paḌav hai kiya muddat se
ḳhvab kamron men saja rakkhe hain katbon ki tarah
bagh-e-hijran ki baharon ke bhi sub.han-allah
zaḳhm phulon ki tarah phuul hain zaḳhmon ki tarah
likh rahi huun tire mathe pe koi ‘mir’ ka sher
paḌh rahi huun tiri ankhon ko sahifon ki tarah
vo mujhe chhoḌ gaya hijr musalle par raat
main ada karti rahi jis ko namazon ki tarah
maut se rishta mira maan ki tarah hai ‘sadi’
zindagi lagti hai mujh ko sagi bahnon ki tarah
Leave a Reply