in zalimon ko jaur siva kaam hi nahin
goya ki un ke zulm ka anjam hi nahin
gham vasl men hai hijr ka hijran men vasl ka
hargiz kisi tarah mujhe aram hi nahin
kya kya kharabiyan main tire vaste sahin
tis par bhi chahne ka mire naam hi nahin
ab ham dinon ko apne na roen to kya karen
karne the jin men aish ve ayyam hi nahin
ve shakhs jin se fakhr jahan ko tha ab ve haae
aise gae ki un ka kahin naam hi nahin
tum jo har ik ke dil ko satate ho kya miyan
aghaz ka jafa ke kuchh anjam hi nahin
‘taban’ bata main ijz kahan tak kiya karun
juz tark-e-mehr-yar ka paigham hi nahin
Leave a Reply