laqq-o-daq sahra men ya maidan men
ya arab ke garm registan men
saya-afgan hai na vaan koi chatan
sard paani ka na dariya ka nishan
chilchilati dhuup hai aur chup hava
vaan parinda bhi nahin par marta
tu vahan ke marhale karta hai tai
din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai
qimti ashya hain teri pusht par
tajiron ka resham aur shahon ka zar
toda toda tere uupar lad raha
hai bhara goya jahaz-e-pur-baha
chand hafte jab ki jaate hain guzar
aur thaka deta hai rakib ko safar
uunt! ghabrata nahin tu baar se
dekhta hai us ki janib pyaar se
goya kahta hai ki ai mere savar
ek din tu aur bhi himmat na haar
haan na be-dil ho na raste men thithak
saaf sar-chashma hai aage dhar lapak
mujh ko aati hai hava se bu-e-ab
na-umidi se na kar tu iztirab
uunt tu karta hai us ki rahbari
yuun bana deta hai rakib ko jari
akhirash manzil pe pahunchata hai tu
aur sukhe khar-o-khas khata hai tu
sabr se karta hai tai rah-e-daraz
sach kaha hai tu hai khushki ka jahaz
al-gharaz tu hai halim o khush-khisal
tarbiyat men chhote bachchon ki misal
Leave a Reply