
Navin C Chaturvedi
un ka sandesha laa.i yaad
vo nahin aa.e aa.i yaad
sahma sahma sa aalam
sharma.i sharma.i yaad
un se nisbat ke bal par
mujh se hi iThla.i yaad
ankhon se barsat hui
badal ban kar chha.i yaad
ubhre nazar karne manzar
biite dinon ki aa.i yaad

Leave a Reply