Dil Ko Nasib Gham Ki Qayaadat Nahin Rahi

dil ko nasīb ġham kī qayādat nahīñ rahī

ab justajū-e-aish meñ lazzat nahīñ rahī

nairañg-e-chashm-e-dost hai mujh par asar-pazīr

ab marg-o-zīst meñ vo raqābat nahīñ rahī

badlī huī hai qadr-e-garebāñ darīdgī

yā ḳhanda-hā-e-gul meñ sadāqat nahīñ rahī

apnī tabī.at aaj ba-faiz-e-ġham-e-hayāt

mid.hat kun-e-matā-e-latāfat nahīñ rahī

shikva ġhalat hai rahmat-e-parvardigār se

mujh ko hī qadr-e-ashk-e-nadāmat nahīñ rahī

irfān aaj rānda-e-dargā-e-aql hai

uf āshtī-e-chashm-o-basārat nahīñ rahī

khulne lagā hai ātish-e-sayyāl kā bharam

ab bazm-e-mai bhī bā.is-e-‘farhat’ nahīñ rahī

Leave a Comment