soz se saaz hi nahin haal hai kuchh ajab tira
main to niyaz-mand huun naaz hai be-sabab tira
ishva kamyab hai jo bhi hai be-hisab hai
rahm tira karam tira qahr tira ghazab tira
main to huun naqsh-e-zer-e-gam janta huun tira maqam
mujh pe ye kya hai ittiham main na karun adab tira
jaane kis tarah ja.egi jaan ye kab tire liye
aane ki tarah aa.ega mujh ko ḳhayal kab tira
dast-e-dua na paas hai baḳht-e-rasa na saath hai
kyuun ho ‘munavar’-e-hazin banda-e-mutaḳhab tira
Leave a Reply