TuTti fariyad ki socho kabhu ai ham-nashin
us junun ke baad ki socho kabhu ai ham-nashin
lutf tum ko aa raha hai chaar din ke ishq men
ta-abad ik yaad ki socho kabhu ai ham-nashin
aankh rone bhi na paa.e aur dil ho gham-zada
zabt ke mi.ad ki socho kabhu ai ham-nashin
tum kabhi pahlu badal kar is zamin se aa lago
phir dil-e-barbad ki socho kabhu a ham-nashin
sher sun kar vaah karna lazmi tha yaar par
bebasi par daad ki socho kabhu ai ham-nashin
Leave a Reply