jaam khanke to sambhala na gaya dil tum se
hai abhi duur bahut zabt ki manzil tum se
ham to dariya men bahut duur nikal aa.e hain
lauT jaao abhi nazdik hai sahil tum se
justuju sarhad-e-idrak se aage na baḌhi
do-qadam tai na hua mahala-e-dil tum se
ḳhalvat-e-shauq ke dar band kiye leta huun
ab shikayat na karegi koi mahfil tum se
saḳht-jani miri asuda-e-ḳhanjar to na thi
kyuun nikala gaya hausla-e-dil tum se
tum to naghmon ki fasilon pe bahut nazan the
kyuun dabaya na gaya shor-e-salasil tum se
dhaḌkanon ko nazar-andaz kiye jaate ho
phir na kahna ki muḳhatab na hua dil tum se
Leave a Reply