tujhe kho kar mohabbat ko ziyada kar liya main ne
ye kis hairat men a.ina kushada kar liya main ne
mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi
so jitna ho saka uslub saada kar liya main ne
mohabbat ka suna tha zaat ki takmil karti hai
magar is aarzu men ḳhud ko aadha kar liya main ne
shikast-e-ḳhvab par hi ḳhvab ki buniyad rakhna thi
dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne
na.i rut men mohabbat ka i.aada chahta tha vo
purane tajarbe se istifada kar liya main ne
sar-e-sahil mujhe pichhe se ab avaz mat dena
yahan se paar jaane ka irada kar liya main netujhe kho kar mohabbat ko ziyada kar liya main ne
ye kis hairat men a.ina kushada kar liya main ne
mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi
so jitna ho saka uslub saada kar liya main ne
mohabbat ka suna tha zaat ki takmil karti hai
magar is aarzu men ḳhud ko aadha kar liya main ne
shikast-e-ḳhvab par hi ḳhvab ki buniyad rakhna thi
dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne
na.i rut men mohabbat ka i.aada chahta tha vo
purane tajarbe se istifada kar liya main ne
sar-e-sahil mujhe pichhe se ab avaz mat dena
yahan se paar jaane ka irada kar liya main ne
Leave a Reply