ab vafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
apni ankhon ki chamak par bhi bharosa na raha
ham to aa.e the mulaqat karenge tujh se
ye ḳhabar kab thi ki tu apne hi jaisa na raha
log kahte hain ki har chiiz samajhti hai hamen
main bahut ḳhush huun ki ab koi adhura na raha
us ke milne ki ḳhushi us ke bichhaḌne ka qalaq
ek gardish thi ki vo aa gaya Thahra na raha
us ne kaghaz ko bhi phulon ki tarah chuum liya
pesh ḳhushbu hi karen dusra tohfa na raha
Leave a Reply