Kuchh to Mohabbaton Ki Wafaen Nibhaun Main

kuchh to mohabbatoñ kī vafā.eñ nibhā.ūñ maiñ

shādāb bārishoñ kī havā.eñ nibhā.ūñ maiñ

itne qarīb aao badan bhī sunā.ī de

guzre dinoñ kī narm sadā.eñ nibhā.ūñ maiñ

dil bhī to chāhtā hai ki sabza kahīñ khile

banjar zamīñ pe kaalī ghaTā.eñ nibhā.ūñ maiñ

dariyā kī lahr pyāse kināroñ ko sauñp duuñ

ma.asūm aarzū kī ḳhatā.eñ nibhā.ūñ maiñ

shādāb ho bhī sakte haiñ chehre nasīb ke

phailā.ūñ haath aur duā.eñ nibhā.ūñ maiñ

rah jaa.e kuchh to jalte badan par use rakhūñ

har lamha ḳhushbuoñ kī qabā.eñ nibhā.ūñ maiñ

manzūr ho tumheñ to mohabbat ke naam par

ma.asūm ḳhvāhishoñ kī sazā.eñ nibhā.ūñ maiñ

tā-umr zindagī ko nibhānā muhāl hai

kuchh roz sādgī kī adā.eñ nibhā.ūñ maiñ

kholūñ na raushnī ke darīche nigāh meñ

‘ūshā’ diloñ kī tiira fazā.eñ nibhā.ūñ maiñ

Leave a Comment