Gulshan Gulshan KHak uDi Aur Viranon Mein Phul Khile

gulshan gulshan ḳhaak uḌī aur vīrānoñ meñ phuul khile

ab ke baras yuuñ mausam badlā zindānoñ meñ phuul khile

ḳhushbū rut ne jaate jaate dil par aisī dastak dī

bhūlī bisrī yādeñ jāgīñ gul-dānoñ meñ phuul khile

jū-e-lahū āñkhoñ se phūTī kisht-e-vafā sairāb huī

ḳhūn-e-gulū jab dasht pe chamkā afsānoñ meñ phuul khile

Duub sako to pyaar kā sāgar aaj bhī hai pāyāb bahut

sāhil se kyā dekh sakoge tūfānoñ meñ phuul khile

aaj achānak is kūche meñ le aa.e āvāra qadam

jis kūche meñ barsoñ guzre armānoñ meñ phuul khile

ḳhvāb hue vo din jab dil kī bātoñ meñ aa jaate the

ab to ye bhī yaad nahīñ kab paimānoñ meñ phuul khile

Leave a Comment