Main Gahri Nind Mein Tha Jab Ki Ye Bheji Gai Duniya

maiñ gahrī niiñd meñ thā jab ki ye bhejī ga.ī duniyā

ab isti.māl karnī hai mujhe de dī ga.ī duniyā

ba-vaqt-e-sub.h lagtā thā ki kuchh-kuchh dastaras meñ hai

jo aa.ī shaam hāthoñ se mire le lī ga.ī duniyā

paḌī hai jā-ba-jā TuuTe hue shīshe ke TukḌoñ sī

kisī anjān khiḌkī se kabhī pheñkī ga.ī duniyā

mire dar par na.e din ko mahakte phuul kī sūrat

sahar jo rakh ga.ī thī shaam ko letī ga.ī duniyā

ye apnā desh hai aa jā.eñge vāpas yahīñ phir bhī

chalo DhūñDeñ use jo ḳhvāb meñ dekhī ga.ī duniyā

Leave a Comment