ḳhamushi ko sada men rakkha gaya
ek jaadu hava men rakkha gaya
chak-e-jan se utaar kar kuuza
sahn-e-ab-o-hava men rakkha gaya
phir murattab kiye ga.e jazbat
ishq ko ibtida men rakkha gaya
sang-e-buniyad thi ḳhalaon ki
ek patthar hava men rakkha gaya
ek konpal saja.i achkan par
ek ḳhanjar qaba men rakkha gaya
ek dariya uTha ke laaya gaya
dasht-e-karb-o-bala men rakkha gaya
mushtahar ki ga.iin dua.en bahut
aur asar bad-dua men rakkha gaya
mujh ko taḳhliq se guzara gaya
aur ḳhuda ki raza men rakkha gaya
inkishafat ho chuke saare
mo.ajaze ko ana men rakkha gaya
Leave a Reply