karna hai jo kaam kar raha huun
divanon men naam kar raha huun
duniya tiri dil-farebiyon men
be-lag qayam kar raha huun
ḳhud phunk ke apna ashiyana
bijli ko salam kar raha huun
ḳhamosh hai ka.enat saari
main dil se kalam kar raha huun
angḌa.iyan le raha hai koi
afsana tamam kar raha huun
marne pe mire na aap ro.en
tabdil-e-maqam kar raha huun
saaqi se ‘sa.id’ jaam le kar
duniya ko salam kar raha huun
Leave a Reply