• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaya Na Ras Nala-E-dil Ka Asar Mujhe

Aaya Na Ras Nala-E-dil Ka Asar Mujhe

jigar-moradabadi

aaya na raas nala-e-dil ka asar mujhe

ab tum mile to kuchh nahin apni khabar mujhe

dil le ke mujh se dete ho dagh-e-jigar mujhe

ye baat bhulne ki nahin umr bhar mujhe

har-su dikhai dete hain vo jalva-gar mujhe

kya kya fareb deti hai meri nazar mujhe

milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe

bhuli hui na ho nigah-e-fitnagar mujhe

daala hai be-khudi ne ajab raah par mujhe

ankhen hain aur kuchh nahin aata nazar mujhe

karna hai aaj hazrat-e-naseh se samna

mil jaae do ghadi ko tumhari nazar mujhe

mastana kar raha huun rah-e-ashiqi ko tai

le jaae jazb-e-shauq mira ab jidhar mujhe

darta huun jalva-e-rukh-e-janan ko dekh kar

apna bana na le kahin meri nazar mujhe

yaksan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rang

un ki khabar unhen hai na meri khabar mujhe

marna hai un ke paanv pe rakh kar sar-e-niyaz

karna hai aaj qissa-e-gham mukhtasar mujhe

siine se dil aziiz hai dil se ho tum aziiz

sab se magar aziiz hai teri nazar mujhe

main duur huun to ru-e-sukhan mujh se kis liye

tum paas ho to kyuun nahin aate nazar mujhe

kya janiye qafas men rahe kya moamla

ab tak to hain aziiz mire bal-o-par mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dariya Ki Rawani Mere Lahje Mein Nahin Hai

gulzar

dhup Lage Aakash Pe Jab

KHanda-E-Gul Mein Bhi Poshida Fughan Ho Jaise

Lalach Se Aur Jaur-O-Jafa Se Nahin Bani

Zindagi Tujhse bichhaD Kar Main Jiya Ek Baras

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet