dil hi mera faqat hai matlab ka
ya jigar bhi hai aap ke dhab ka
qais o farhad se main huun vaqif
ho chuka hai muqabla sab ka
khaai hai ik nai mithai aaj
bosa paaya hai yaar ke lab ka
mai-kade men sharab piite hain
ye pata hai hamare mashrab ka
shiia sunni men to bakhede hain
naam luun kis ke aage mazhab ka
malak-ul-maut se kaho phir jaaen
jite-ji mar chuka huun main kab ka
aap farmaen hijr ka ahval
main karun zikr vasl ki shab ka
subh ko jhonke niind ke kaise
kahin jaaga hua hai tu shab ka
us ke kucha ki bhiik chahte hain
shauq jagir ka na mansab ka
rahe din bhar vo muddai mere
yaad kar ke muamla shab ka
barg-e-gul aa main tere bose luun
tujh men hai dhang yaar ke lab ka
naqd-e-dil deta huun to kahte hain
vaah aisa ‘sakhi’ hai tu kab ka
Leave a Reply