• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Urus-Ul-Bilad

Urus-Ul-Bilad

akhtar-ul-iman

vasia shahr men ik chikh kya sunai de

bason ke shor men railon ki gadgadahat men

chahal-pahal men bhidon jaisi bhanbhanahat men

kisi ko pakdo sar-e-rah maar do chahe

kisi afifa ki ismat utaar do chahe!

vasia shahr men ik chikh kya sunai de!

aziim shahr bade kamon ke liye hain miyan

vazir-e-ala ki taqrir, leaderon ke julus

siyasaton ke mazahir, khulus bahr-e-khulus

ye rat-jagon ki jagah, nav-nosh ka gadh hai

ye tum se kis ne kaha ilm o hosh ka gadh hai

abhi abhi shah-e-qufqaz aae hain dekho

muazzizin-e-urus-ul-bilad sab mil kar

sipas-nama unhen is tarah karenge pesh

ki jaise dil ki kali phuul ho gai khil kar

phir is ke baad kisi bank ke bade karta

koi safir kisi desh ke nae mukhiya

mushir-e-sanati mansuba-bandiyon ke liye

jatan saqafati aina-saziyon ke liye

bade plan, badi yojna, badi baten

ziyafaten bade hotel, badi badi ghaten!

aziim shahr bade kamon ke liye hai miyan!

yahan mazar hain un ke bhi jin ke naam nahin

sunahri shahr ki taskhir karne aae the

unhen shikam se bahut duur aage jaana tha

vo is jahan ki taamir karne aae the!

bade dimagh the tabbaa the zahin the sab

magar siyasat-e-duniya men kam-tarin the sab

aziim shahr bade kamon ke liye hain miyan

shikast-e-dil koi roket hai jo dikhai de

aziim shahr men ik chikh kya sunai de!

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Qafila Jo Rah-E-Shaeri Mein Kam Utra

poet

Mismar Shabon Ke Dukh uThaun

Har Taraf Shor Hai Mani Chaman-Arai Hai

Wo Dariya Hai Koi Sahra Nahin Hai

afroz-alam

Pal-do-Pal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet