• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai

Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai

gulab mange hai ne mahtab mange hai

shu.ur-e-fan to lahu ki sharab mange hai

vo us ka lutf-o-karam mujh ghariq-e-isyan se

gunah mange hai aur be-hisab mange hai

havas ki baaḌh har ik bandh toḌna chahe

nazar ka husn magar intiḳhab mange hai

kahan ho kho.e hue lamho! lauT kar aao

hayat umr-e-guzishta ka baab mange hai

mire kalam men ta.us bhi hai shahin bhi

sinan ke saath mira fan rubab mange hai

chaḌha raha hai salibon pe ham ko sadiyon se

zamana phir bhi muqaddas kitab mange hai

na jaane kitni ghaTa.en uThi hain rahon men

magar hai pyaas ki har dam sarab mange hai

hai zaḳhm-ḳhurda mire dil ka aa.ina aisa

ḳhirad ki tegh se thoḌi si aab mange hai

vo meri fahm ka leta hai imtihan shayad

ki har saval se pahle javab mange hai

bikhar gaya tha jo kal raat kirchiyon ki tarah

miri nigah vo TuuTa sa ḳhvab mange hai

karamat us se jo puchhun ki zindagi kya hai

javab dene ke badle hubab mange hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nim Jaisa Mera Lahja Aur Wo miTha Bahut

Sufi

Ali Mohammad Raat Bulaya

Achchhe Nahin Hain Waqt Ke Tewar Mere Aziz

Tamanna Ban Gai Hai Maya-E-Ilzam Kya Hoga

Junun Karta Hai Din-Raat Paemal Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet