tere ghar khvab men gaya tha ghair
apni ankhon se ham ne dekha hai
kis qadar hai mizaj men garmi
shoala hai aag hai bhabhuka hai
ai buto kaabe ka karo kuchh paas
dil na todo ye ghar khuda ka hai
chup raho kyuun mizaj puchhte ho
ham jien ya maren tumhen kya hai
us gul-e-tar ke aane se ‘jauhar’
khana-e-dil tamam mahka hai
Leave a Reply