sab ke liye na-pasandida udti makkhi
kitni azadi se mere munh aur mere hathon par baithti hai
aur is roz-marra se azad hai jis men main qaid huun
main to subh ko ghar bhar ki khaak sametti jaati huun
aur mera chehra khaak pahanta jaata hai
dopahar ko dhuup aur chulhe ki aag
ye donon mil kar vaar karti hain
gardan pe chhuri aur angara ankhen
ye mera shaam ka roz-marra hai
raat bhar shauhar ki khvahish ki mashaqqat
meri niind hai
mera andar tumhara zahr
har tiin mahine baad nikal phenkta hai
tum baap nahin ban sake
mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke baap bano
mira badan meri khvahish ka ehtiram karta hai
main apne niilo niil badan se pyaar karti huun
magar mujhe makkhi jitni azadi bhi tum kahan de sakoge
tum ne aurat ko makkhi bana kar botal men band karna sikha hai
Leave a Reply