• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhaare Eajaz-E-Husn Ki Mere dil Pe Lakhon Inayaten Hain

Tumhaare Eajaz-E-Husn Ki Mere dil Pe Lakhon Inayaten Hain

ali-sardar-jafri

tumhare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

tumhari hi den mere zauq-e-nazar ki saari latafaten hain

javan hai suraj jabin pe jis ke tumhare mathe ki raushni hai

sahar hasin hai ki us ke rukh par tumhare rukh ki sabahaten hain

main jin baharon ki parvarish kar raha huun zindan-e-gham men hamdam

kisi ke gesu-o-chashm-o-rukhsar-o-lab ki rangin hikayaten hain

na jaane chhalkae jaam kitne na jaane kitne subu uchhale

magar miri tishnagi ki ab bhi tiri nazar se shikayaten hain

main apni ankhon men sail-e-ashk-e-ravan nahin bijliyan liye huun

jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki rivayaten hain

main raat ki god men sitare nahin sharare bikherta huun

sahar ke dil men jo apne ashkon se bo raha huun baghavaten hain

ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki davari hai

labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surkh ayaten hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jis Ko Pas Usne biThaya Ek Din

aaKHiri Manzar Ajab Aankhon Mein Hai

hasrat-mohani

Hamein Waqf-E-Gham Sar-Ba-Sar dekh Lete

KHud Se Juda Hue to Kahin Ke Nahin Rahe

Koi Shafqat Bhari Sarkar Nahin Hai Ghar Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet