• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Watan-Nasib Kahan Apni Qismaten Hongi

Watan-Nasib Kahan Apni Qismaten Hongi

vatan-nasib kahan apni qismaten hongi

jahan bhi ja.enge ham saath hijraten hongi

kabhi to sahib-e-divar-o-dar banenge ham

kabhi to sar pe hamare na.i chhaten hongi

ye ashk tere mire ra.egan na ja.enge

unhin charaghon se raushan mohabbaten hongi

tiri ada men hai inkar bhi ijazat bhi

jo ham milenge to duuri na qurbaten hongi

amal durust karen apne rahnuma.e-kiram

kahunga saaf to sab ko shikayaten hongi

ham un ke samne sach bolne ke mujrim hain

hamin pe vaqt ki saari inayaten hongi

hamen to apne masa.il ka hal bhi hai darkar

tumhare paas to ḳhali basharaten hongi

vahan pe qafile bhaTkenge tai hai ye ‘manzar’

jahan usuul se ḳhali qayadaten hongi

abhi to qaid hain jazbon ki andhiyan dil men

hamara sabr jo toḌa qayamaten hongi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Rida-E-Sabz Ki KHwahish Bahut Mahngi paDi

Mera Rafiq Pas-E-Jism-O-Jaan Zinda Raha

Gaya Ki Sail-E-Rawan Ka Bahaw Aisa Tha

poet

dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya

Meri Diwangi Ja Kar Ye Sahraon Mein Kah Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet