alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho ga.e
junun ka haath chhuT gaya to be-hisi ke ho ga.e
talab ki aanch kya bujhi badan hi raakh ho gaya
hava ke haath kya lage gali gali ke ho ga.e
bahut dinon basi rahi tiri mahak ḳhayal men
bahut dinon talak tire ḳhayal hi ke ho ga.e
charagh-e-sham bujh gaya to dil ke daagh jal uThe
phir aisi raushni hui ki raushni ke ho ga.e
suḳhan-vari ne hijr ko bhi sham-e-vasl kar diya
tiri talab siva hui to sha.iri ke ho ga.e
Leave a Reply