vo bevafa hi sahi us ko bevafa na kaho
adab ki had men raho husn ko bura na kaho
sharab-e-ishq ki azmat se jo kare inkar
vo parsa bhi agar ho to parsa na kaho
paḌa hai kaam usi ḳhud-parast kafir se
jise ye zid hai kisi aur ko ḳhuda na kaho
mira ḳhulus-e-mohabbat hai qadr ke qabil
zaban pe zikr-e-vafa hai use gila na kaho
ye kya kaha ki dua hai asar se begana
taḌap na dil ki ho jis men use dua na kaho
ye aur kuchh nahin fitrat ki bad-mazaqi hai
baghair baada ghaTa ko kabhi ghaTa na kaho
taḌap taḌap ke guzaro shab-e-firaq apni
ye naz-e-husn hai ‘sha.ir’ ise jafa na kaho
Leave a Reply