
Akhtar Husain Jafri
tapish gulzar tak pahunchi lahu divar tak aaya
charagh-e-ḳhud-kalami ka dhuan bazar tak aaya
hua kaghaz musavvar ek paigham-e-zabani se
suḳhan tasvir tak pahuncha hunar purkar tak aaya
abas tarik raste ko tah-e-ḳhurshid-e-jan rakkha
yahi tar-e-nafas azar se paikar tak aaya
mohabbat ka bhanvar apna shikayat ki jihat apni
vo mehvar dusra tha jo mire pindar tak aaya
ajab chehra safar ka tha havas ke zard paani men
qadam daldal se nikla to ḳhat-e-raftar tak aaya
phir is ke ba.ad tambur o alam na-mo’tabar Thahre
koi qasid na is sham-e-shikast-asar tak aaya

Leave a Reply