main huun tere liye benam-o-nishan avara
zindagi mere liye tu hai kahan avara
tujh se kaT kar koi dekhe to kahan pahuncha huun
jaise naddi men koi sang-e-ravan avara
tujh ko dekha hai kahin tujh ko kahan dekha hai
vahm hai sar-ba-gareban o guman avara
dair-o-ka.aba ki rivayat se inkar nahin
aao do din to phiren na.ara-zanan avara
tere daman ki tarah daman-e-shab raḳhshanda
mere ashkon ki tarah kaun-o-makan avara
jalte-bujhte hain har ik gaam pe tabinda nujum
koi hai aaj sar-e-kahkashan avara
bhigi raton men ‘zafar’ phirta hai tanha tanha
aah vo soḳhta-dil soḳhta-jan avara
Leave a Reply