Dubna hai us se ye iqrar kar lena mira
phir ba-asani samundar paar kar lena mira
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi divar kar lena mira
ek ḳhushbu ban ke guzre sar se saare garm o sard
us ka chehra thamna aur pyaar kar lena mira
ban gaya logon ki shan-e-kaj-kulahi ka saval
apne sar ko la.eq-e-dastar kar lena mira
‘ramz’ us ko de gaya ik tarz-e-fariyad-o-fughan
band ankhon ko lab-e-iz.har kar lena mira
Leave a Reply