kaun kahta hai musibat par kabhi matam na kar
maut hai ik pal ki saari zindagi matam na kar
gham na kar un ke darichon par charaghan ho gaya
chalti phirti hai sada se raushni matam na kar
karbala se le ke registan-e-sina.i talak
miT nahin sakti hamari tishnagi matam na kar
phir se momin atish-e-namrud men Daale ga.e
hai yahi sunnat ḳhalilullah ki matam na kar
kufr hai ik millat-e-vahid ye raushan ho gaya
mustaqil hai rishta-e-iman bhi matam na kar
kisht-e-muslim ko hamesha ḳhuun se sincha gaya
ek din hogi yahi kheti hari matam na kar
ye bhi kya kam hai basirat ki nazar hasil hui
doston ne ki jo tujh se dushmani matam na kar
‘sayyadi’ tariḳh men ik do baras kuchh bhi nahin
kashmakash hai iztirab-e-da.imi matam na kar
Leave a Reply