ek ham hi to nahin abla-pa avara
nighat-e-gul bhi hui bad-e-saba avara
ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi phirta hai sar-e-shahr-e-vafa avara
kaun manzil ki ḳhabar de kise manzil ki ḳhabar
rah-rau abla-pa rah-numa avara
dil dhaḌakta hai sar-e-sham ki guzrega abhi
vadi-e-shab se koi naghma-sara avara
ab koi kis se kahe kaifiyyat-e-zaḳhm-e-bahar
sabza begana hai gul chup hain saba avara
Leave a Reply