Wo Jo Be-saKHta Hansne Ki Ada Thi Teri

vo jo be-sāḳhta hañsne kī adā thī terī

tujh ko ma.alūm nahīñ vo hī davā thī terī

hijr rātoñ meñ use oḌh ke so jaatā thā

paas mere jo udāsī kī ridā thī terī

tere ik dost ne pūchhā thā ye ro kar mujh se

hai qasam tujh ko batā de ki vo kyā thī terī

bad-duā apne liye ḳhuub karī thī maiñ ne

haañ magar raah meñ haa.il jo duā thī terī

terī āvāz pe lauT aa.e the terī jānib

pūchhnā kuchh bhī nahīñ thā ki razā thī terī

Leave a Comment