kya bata.un mujhe kya yaad hai kya yaad nahin
itne gham hain ki gham-hosh zara yaad nahin
is gunahgar-e-mohabbat pe ḳhuda rahm kare
jis ko kuchh teri mohabbat ke siva yaad nahin
meri divana mizaji pe hai ilzam magar
apni begana-nigahi ki ada yaad nahin
tum ne kuchh mujh se kaha tha dam-e-ruḳhsat ik din
ab ḳhuda jaane tumhen yaad hai ya yaad nahin
ya vo aalam tha ki thi samne manzil ‘rahi’
ya ye halat hai ḳhud apna pata yaad nahin
Leave a Reply