be-khudi men ajab maza dekha
sirr-e-makhfi ko barmala dekha
aap hi gul hi aap hi bulbul
us ko har rang-ashna dekha
kahta hai aap samjhe bhi hai aap
us ko har shai men khud-numa dekha
surat-e-qais main hua majnun
shakl-e-laila men khushnuma dekha
aap hi ban ke iisa aur murda
aap hi aap ko jila dekha
ho bar-afrokhta ba-surat-e-shama
shakl-e-parvana men jala dekha
saghar-e-be-khudi se ho sarshar
ham ne har shai men ab khuda dekha
alam-e-ishq men kahen kya ham
jalva-e-husn ja-ba-ja dekha
faiz-e-khadim safi se ai ‘asim’
us ko dekha jise na tha dekha
Leave a Reply