saffak sarab se ziyada
hai ishq azaab se ziyada
maqtul ke chehre par chamak thi
talvar ki aab se ziyada
main ahl-e-kitab ko hamesha
paḌhta huun kitab se ziyada
kya rang dikha.e ham jo chahen
kanTe ko gulab se ziyada
utra vo ragon men zahr jis men
nashsha hai sharab se ziyada
manus hain gham ‘kamal’ shayad
mujh ḳhana-ḳharab se ziyada
Leave a Reply