vo mire gham ka mudava nahin hone deta
zarra-e-dard ko sahra nahin hone deta
saath rakhta huun hamesha tiri yadon ki dhanak
main kabhi ḳhud ko akela nahin hone deta
zaḳhm bharta hai naya zaḳhm lagane ke liye
kya masiha hai ki achchha nahin hone deta
jis ke anjam se TuuTe mira pindar-e-ana
main vo aghaz dobara nahin hone deta
rok deta huun umaDte hue tufan ‘nasir’
qatra-e-ashk ko dariya nahin hone deta
Leave a Reply