ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf ham bahut hain magar be-khabar nahin
ab to khud apne khuun ne bhi saaf kah diya
main aap ka rahunga magar umr bhar nahin
aa hi gae hain khvab to phir jaenge kahan
aankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
kitna jien kahan se jien aur kis liye
ye ikhtiyar ham pe hai taqdir par nahin
maazi ki raakh ultin to chingariyan milin
be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin
Leave a Reply